lahu ki aag mein dil ka samundar Dub jaega
lahū kī aag meñ dil kā samundar Duub jā.egā
badan ke raaz apne saath le kar Duub jā.egā
uḌegā bādbāñ ban kar mohabbat se bharā ye dil
talab se ho gayā ḳhālī to patthar Duub jā.egā
ye dil sairāb halkī bārishoñ meñ ho to ho varna
achānak lahr meñ banjar kā banjar Duub jā.egā
tamāshā dekhne vāloñ ko kyā ma.alūm āḳhir meñ
baraste qahqahoñ ke baad joker Duub jā.egā
karegā TuuT ke jo kā.enātī raqs gardish meñ
ḳhud apnī mauj meñ man kā qalandar Duub jā.egā
bhale tairāk ho kaisā use thaknā to hai āḳhir
guzarte vaqt kī tah meñ sikandar Duub jā.egā
gumāñ us ko hai merā hī makāñ kachchā hai bastī meñ
yaqīñ mujh ko mire ham-sāya kā ghar Duub jā.egā
abhī paanī se bāhar hai zarā sī Dūbtī kashtī
faqat do-chār lamhoñ meñ ye manzar Duub jā.egā
hamāre vāste kholī ga.ī hai raah paanī meñ
hamāre baad aa.egā jo lashkar Duub jā.egā
safar meñ hai to bahte pāniyoñ kī mauj kā sāthī
kināre par pahuñch ke dil kā langar Duub jā.egā
hamāre dekhte hī dekhte ubhre nuqūsh-e-sub.h
hamāre sāmne sūraj kā paikar Duub jā.egā
hameñ le jā.egā TuuTā huā taḳhta kināre par
magar sāmān sab kashtī ke andar Duub jā.egā
lahu ki aag mein dil ka samundar Dub jaega
badan ke raaz apne sath le kar Dub jaega
uDega baadban ban kar mohabbat se bhara ye dil
talab se ho gaya KHali to patthar Dub jaega
ye dil sairab halki barishon mein ho to ho warna
achanak lahr mein banjar ka banjar Dub jaega
tamasha dekhne walon ko kya malum aaKHir mein
baraste qahqahon ke baad joker Dub jaega
karega TuT ke jo kaenati raqs gardish mein
KHud apni mauj mein man ka qalandar Dub jaega
bhale tairak ho kaisa use thakna to hai aaKHir
guzarte waqt ki tah mein sikandar Dub jaega
guman us ko hai mera hi makan kachcha hai basti mein
yaqin mujh ko mere ham-saya ka ghar Dub jaega
abhi pani se bahar hai zara si Dubti kashti
faqat do-chaar lamhon mein ye manzar Dub jaega
hamare waste kholi gai hai rah pani mein
hamare baad aaega jo lashkar Dub jaega
safar mein hai to bahte paniyon ki mauj ka sathi
kinare par pahunch ke dil ka langar Dub jaega
hamare dekhte hi dekhte ubhre nuqush-e-subh
hamare samne suraj ka paikar Dub jaega
hamein le jaega TuTa hua taKHta kinare par
magar saman sab kashti ke andar Dub jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.