lahu lahu mere kirdar ke saliqe hain
lahū lahū mire kirdār ke salīqe haiñ
varaq varaq isī ban-bās ke havāle haiñ
rivāyatoñ kī na.e marhaloñ kī baat nahīñ
hameñ to dekhnā hai kis meñ kitne hiire haiñ
ra.īs-e-shahr kī āñkhoñ meñ ye udāsī kyoñ
abhī to jism ke saare nishān niile haiñ
hamārī bāñjh kahānī kā vaqt ḳhatm huā
zamīñ kī kokh meñ ehsās ke jazīre haiñ
udaas udaas fasāna sahī magar socho
na.ī hayāt kī ḳhātir bahut se hiile haiñ
lahu lahu mere kirdar ke saliqe hain
waraq waraq isi ban-bas ke hawale hain
riwayaton ki nae marhalon ki baat nahin
hamein to dekhna hai kis mein kitne hire hain
rais-e-shahr ki aankhon mein ye udasi kyon
abhi to jism ke sare nishan nile hain
hamari banjh kahani ka waqt KHatm hua
zamin ki kokh mein ehsas ke jazire hain
udas udas fasana sahi magar socho
nai hayat ki KHatir bahut se hile hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.