lahu-luhan tha manzar hawa shikasta thi
lahū-luhān thā manzar havā shikasta thī
hamāre chāroñ taraf ik ajiib duniyā thī
mirī nigāh utartī chalī ga.ī andar
har ek shakl mire sāmne barahna thī
kisī sadī kā bhī tūfān Dhā sakā na use
ye aur baat ki dīvār-e-vaqt ḳhasta thī
guzar chukī hai jo ab us kī justujū na karo
vo zindagī to kisī ḳhvāb kā karishma thī
hazāroñ aks pas-e-aks jagmagāte the
har ek shakl magar aa.ine meñ tanhā thī
maiñ apne aap meñ gum ho ke rah gayā 'rizvī'
fasīl-e-jism kī hālat bahut hī ḳhasta thī
lahu-luhan tha manzar hawa shikasta thi
hamare chaaron taraf ek ajib duniya thi
meri nigah utarti chali gai andar
har ek shakl mere samne barahna thi
kisi sadi ka bhi tufan Dha saka na use
ye aur baat ki diwar-e-waqt KHasta thi
guzar chuki hai jo ab us ki justuju na karo
wo zindagi to kisi KHwab ka karishma thi
hazaron aks pas-e-aks jagmagate the
har ek shakl magar aaine mein tanha thi
main apne aap mein gum ho ke rah gaya 'rizwi'
fasil-e-jism ki haalat bahut hi KHasta thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.