lahu mein Dub ke nikli hikayaten chup hain
lahū meñ Duub ke niklī hikāyateñ chup haiñ
mo.āmla hai hamārā adālateñ chup haiñ
yahī hai vaqt kā dastūr āj-kal shāyad
tamām shahr jalā aur shahādateñ chup haiñ
ye kis kā ġhamza-e-ḳhūñ-rez hai ki mahfil meñ
kisī meñ dam nahīñ sab kī jasārateñ chup haiñ
na hogā kuchh bhī to hāsil sivā shamātat ke
ye soch soch ke apnī jarāhateñ chup haiñ
na chārāgar hai koī ab na ġham-gusār koī
tamām sidq-o-safā kī rivāyateñ chup haiñ
ye bastiyāñ nahīñ ab muḳhbiroñ ke markaz haiñ
to kyā ajab hai azīzo rifāqateñ chup haiñ
kalā.iyoñ ko maroḌegā kaun zālim kī
ki inqalāb hai ḳhufta baġhāvateñ chup haiñ
huā ye kyā mire yārān-e-tez-gām ke saath
itaab mohr-ba-lab hai sharārteñ chup haiñ
mire sivā nahīñ mauzū-e-guftugū ab bhī
ye aur baat ki ab vo ināyateñ chup haiñ
ye kis gumān meñ baiThe ho tum miyāñ 'az.har'
ye daur vo hai ki jis meñ karāmateñ chup haiñ
lahu mein Dub ke nikli hikayaten chup hain
moamla hai hamara adalaten chup hain
yahi hai waqt ka dastur aaj-kal shayad
tamam shahr jala aur shahadaten chup hain
ye kis ka ghamza-e-KHun-rez hai ki mahfil mein
kisi mein dam nahin sab ki jasaraten chup hain
na hoga kuchh bhi to hasil siwa shamatat ke
ye soch soch ke apni jarahaten chup hain
na chaaragar hai koi ab na gham-gusar koi
tamam sidq-o-safa ki riwayaten chup hain
ye bastiyan nahin ab muKHbiron ke markaz hain
to kya ajab hai azizo rifaqaten chup hain
kalaiyon ko maroDega kaun zalim ki
ki inqalab hai KHufta baghawaten chup hain
hua ye kya mere yaran-e-tez-gam ke sath
itab mohr-ba-lab hai shararten chup hain
mere siwa nahin mauzu-e-guftugu ab bhi
ye aur baat ki ab wo inayaten chup hain
ye kis guman mein baiThe ho tum miyan 'azhar'
ye daur wo hai ki jis mein karamaten chup hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.