lahu mein Dub ke talwar mere ghar pahunchi
lahū meñ Duub ke talvār mere ghar pahuñchī
vo sar-buland huuñ dastār mere ghar pahuñchī
pahāḌ khodā to juz pattharoñ ke kuchh na milā
mire pasīne kī mahkār mere ghar pahuñchī
shajar ne tund havāoñ se dostī kar lī
shikasta pattoñ kī bauchhār mere ghar pahuñchī
mire makān se kirnoñ kī Daar aisī uḌī
har ik balā-e-pur-asrār mere ghar pahuñchī
mire paḌos meñ TuuTe zarūf shīshoñ ke
chahār samt se jhankār mere ghar pahuñchī
patañg TuuT ke āñgan ke peḌ meñ uljhī
sharīr bachchoñ kī yalġhār mere ghar pahuñchī
lahu mein Dub ke talwar mere ghar pahunchi
wo sar-buland hun dastar mere ghar pahunchi
pahaD khoda to juz pattharon ke kuchh na mila
mere pasine ki mahkar mere ghar pahunchi
shajar ne tund hawaon se dosti kar li
shikasta patton ki bauchhaar mere ghar pahunchi
mere makan se kirnon ki Dar aisi uDi
har ek bala-e-pur-asrar mere ghar pahunchi
mere paDos mein TuTe zaruf shishon ke
chahaar samt se jhankar mere ghar pahunchi
patang TuT ke aangan ke peD mein uljhi
sharir bachchon ki yalghaar mere ghar pahunchi
- Book : Pakistani Adab (Pg. 504)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.