lahu mein Duba hua pairahan chamakta hai
lahū meñ Duubā huā pairahan chamaktā hai
sulagtī ret par ik gul-badan chamaktā hai
sitāre bujhte chale jā rahe haiñ ḳhemoñ meñ
bas ik charāġh sar-e-anjuman chamaktā hai
za.iif chun to rahā hai javān lāshoñ ko
magar nigāh meñ ik bāñkpan chamaktā hai
ye kaise phuul jhaḌe shīr-ḳhār hoñToñ se
ki jin ke nuur se saarā chaman chamaktā hai
ye kaun māh-e-munavvar asiir hai 'shahzād'
ye kis kā halqa-e-tauq-o-rasan chamaktā hai
lahu mein Duba hua pairahan chamakta hai
sulagti ret par ek gul-badan chamakta hai
sitare bujhte chale ja rahe hain KHemon mein
bas ek charagh sar-e-anjuman chamakta hai
zaif chun to raha hai jawan lashon ko
magar nigah mein ek bankpan chamakta hai
ye kaise phul jhaDe shir-KHar honTon se
ki jin ke nur se sara chaman chamakta hai
ye kaun mah-e-munawwar asir hai 'shahzad'
ye kis ka halqa-e-tauq-o-rasan chamakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.