lahu mein Dubi hui phir koi sada aai
lahū meñ Duubī huī phir koī sadā aa.ī
ilāhī ḳhair ki maqtal se phir ghaTā aa.ī
bichhaḌ ga.ī thī koī ruuh apne saa.e se
kisī ko DhūñDne vaalī koī sadā aa.ī
laraz uThā dar-o-dīvār kā bhī sannāTā
kisī taraf se achānak jo ye havā aa.ī
kisī ke aks ke saa.e meñ jal rahā thā maiñ
ki shāḳh-e-dil se ulajhne ko phir sabā aa.ī
jhulas ke saare parinde hue haiñ ḳhākistar
havā meñ pankh pasāre hue balā aa.ī
bikharte jism ko kaise sañbhāltā koī
sukūt-e-shahr meñ jab zor se havā aa.ī
thakan se chuur huuñ apne hī saa.e meñ so luuñ
jagāne mujh ko abhī kyoñ mirī qazā aa.ī
lahu mein Dubi hui phir koi sada aai
ilahi KHair ki maqtal se phir ghaTa aai
bichhaD gai thi koi ruh apne sae se
kisi ko DhunDne wali koi sada aai
laraz uTha dar-o-diwar ka bhi sannaTa
kisi taraf se achanak jo ye hawa aai
kisi ke aks ke sae mein jal raha tha main
ki shaKH-e-dil se ulajhne ko phir saba aai
jhulas ke sare parinde hue hain KHakistar
hawa mein pankh pasare hue bala aai
bikharte jism ko kaise sanbhaalta koi
sukut-e-shahr mein jab zor se hawa aai
thakan se chur hun apne hi sae mein so lun
jagane mujh ko abhi kyon meri qaza aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.