lahu mein gharq adhuri kahaniyan niklin
lahū meñ ġharq adhūrī kahāniyāñ niklīñ
dahan se TuuTī huī surḳh chūḌiyāñ niklīñ
maiñ jis zamīn pe sadiyoñ phirā kiyā tanhā
usī zamīn se kitnī hī bastiyāñ niklīñ
jahāñ muhāl thā paanī kā ek qatra bhī
vahāñ se TuuTī huī chand kashtiyāñ niklīñ
masal diyā thā sar-e-shām ek jugnūñ ko
tamām raat ḳhayāloñ se bijliyāñ niklīñ
churā liyā thā havelī kā ik chhupā manzar
usī gunāh par āñkhoñ se putliyāñ nikleñ
vo ik charāġh jalā aur vo raushnī phailī
vo rahzanī ke irāde se āñdhiyāñ niklīñ
vo bach sakīñ na kabhī bul-havas parindoñ se
hisār-e-āb se bāhar jo machhliyāñ niklīñ
ḳhudā kā shukr ki is ahd-be-libāsī meñ
ye kam nahīñ ki daraḳhtoñ meñ patiyāñ niklīñ
yahī hai qasr-e-mohabbat kī dāstāñ 'kāzim'
girī fasīl to insāñ kī haDDiyāñ niklīñ
lahu mein gharq adhuri kahaniyan niklin
dahan se TuTi hui surKH chuDiyan niklin
main jis zamin pe sadiyon phira kiya tanha
usi zamin se kitni hi bastiyan niklin
jahan muhaal tha pani ka ek qatra bhi
wahan se TuTi hui chand kashtiyan niklin
masal diya tha sar-e-sham ek jugnun ko
tamam raat KHayalon se bijliyan niklin
chura liya tha haweli ka ek chhupa manzar
usi gunah par aankhon se putliyan niklen
wo ek charagh jala aur wo raushni phaili
wo rahzani ke irade se aandhiyan niklin
wo bach sakin na kabhi bul-hawas parindon se
hisar-e-ab se bahar jo machhliyan niklin
KHuda ka shukr ki is ahd-be-libasi mein
ye kam nahin ki daraKHton mein patiyan niklin
yahi hai qasr-e-mohabbat ki dastan 'kazim'
giri fasil to insan ki haDDiyan niklin
- Book : کتاب سنگ (Pg. 19)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.