lahu mein jitni jaulani rahegi
lahū meñ jitnī jaulānī rahegī
safar meñ utnī āsānī rahegī
mohabbat se gale milte haiñ yaaro
kahāñ nafrat pareshānī rahegī
tujhe dekhe jo muddat ho ga.ī hai
nigāhoñ meñ to vīrānī rahegī
ai mere chāñd gahnā.egā tū bhī
kahāñ tak tujh meñ tābānī rahegī
lahu mein jitni jaulani rahegi
safar mein utni aasani rahegi
mohabbat se gale milte hain yaro
kahan nafrat pareshani rahegi
tujhe dekhe jo muddat ho gai hai
nigahon mein to virani rahegi
ai mere chand gahnaega tu bhi
kahan tak tujh mein tabani rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.