lahu mein KHak-e-shifa gundhne ki KHwahish thi
lahū meñ ḳhāk-e-shifā gūñdhne kī ḳhvāhish thī
mujhe husain se kuchh māñgne kī ḳhvāhish thī
vo jis pisar ke jigar meñ utar ga.ī barchhī
usī pisar ko javāñ dekhne kī ḳhvāhish thī
mirī talāsh mujhe karbalā meñ le aa.ī
mujhe zamīñ pe ḳhudā DhūñDne kī ḳhvāhish thī
jinhoñ ne luuTā thā maulā husain kā lāsha
unhīñ sināñ se ridā lūTne kī ḳhvāhish thī
maiñ dauḌtī rahī har tiir ke ta.āqub meñ
mujhe pidar kā galā chūmne kī ḳhvāhish thī
ḳhudā ke āḳhirī lashkar meñ bas bahattar the
ḳhudā ko karb-o-balā jītne kī ḳhvāhish thī
mire husain mujhe hur samajh muāfī de
mire husain mujhe lauTne kī ḳhvāhish thī
bujhā charāġh to parkhā junūñ bahattar kā
jinheñ lahū se ziyā bāñTne kī ḳhvāhish thī
furāt mashk meñ bhar ke ḳhiyām tak ġhāzī
na lauT paayā magar lauTne kī ḳhvāhish thī
sināñ kī nok pe dekho husain zinda hai
kaTā nahīñ hai jo sar kāTne kī ḳhvāhish thī
salām ashk kī ḳhushbū meñ oḌh kar 'rāhib'
dayār-e-karb-o-balā bhejne kī ḳhvāhish thī
lahu mein KHak-e-shifa gundhne ki KHwahish thi
mujhe husain se kuchh mangne ki KHwahish thi
wo jis pisar ke jigar mein utar gai barchhi
usi pisar ko jawan dekhne ki KHwahish thi
meri talash mujhe karbala mein le aai
mujhe zamin pe KHuda DhunDne ki KHwahish thi
jinhon ne luTa tha maula husain ka lasha
unhin sinan se rida luTne ki KHwahish thi
main dauDti rahi har tir ke taaqub mein
mujhe pidar ka gala chumne ki KHwahish thi
KHuda ke aaKHiri lashkar mein bas bahattar the
KHuda ko karb-o-bala jitne ki KHwahish thi
mere husain mujhe hur samajh muafi de
mere husain mujhe lauTne ki KHwahish thi
bujha charagh to parkha junun bahattar ka
jinhen lahu se ziya banTne ki KHwahish thi
furaat mashk mein bhar ke KHiyam tak ghazi
na lauT paya magar lauTne ki KHwahish thi
sinan ki nok pe dekho husain zinda hai
kaTa nahin hai jo sar kaTne ki KHwahish thi
salam ashk ki KHushbu mein oDh kar 'rahib'
dayar-e-karb-o-bala bhejne ki KHwahish thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.