Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lahu mein kya bataen raushni kaisi mili thi

Mohammad Izhar ul Haq

lahu mein kya bataen raushni kaisi mili thi

Mohammad Izhar ul Haq

MORE BYMohammad Izhar ul Haq

    lahū meñ kyā batā.eñ raushnī kaisī milī thī

    milī thī bas mohabbat jis tarah bhī milī thī

    bahut jam' kar rakkhī thiiñ us ne kahkashā.eñ

    maiñ royā to mujhe ik qaash sūraj milī thī

    uThāte kis tarah palkoñ lambā.ī jhagḌā

    bahut mushkil se āñkheñ aur bīnā.ī milī thī

    hayā thī aañkh meñ gandum ke ḳhoshe haath meñ the

    'ajab hālat meñ thī jab mujh ko uryānī milī thī

    yahīñ thī jo nazar aa.ī thī mash'al thī ki ātish

    nubuvvat thī ki chingārī zamīñ par milī thī

    lahu mein kya bataen raushni kaisi mili thi

    mili thi bas mohabbat jis tarah ki bhi mili thi

    bahut si jam' kar rakkhi thin us ne kahkashaen

    main roya to mujhe ek qash suraj ki mili thi

    uThate kis tarah palkon ki lambai ka jhagDa

    bahut mushkil se aankhen aur binai mili thi

    haya thi aankh mein gandum ke KHoshe hath mein the

    'ajab haalat mein thi jab mujh ko uryani mili thi

    yahin thi jo nazar aai thi mash'al thi ki aatish

    nubuwwat thi ki chingari zamin par hi mili thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now