lahu mein rang-e-suKHan us ka bhar ke dekhte hain
lahū meñ rañg-e-suḳhan us kā bhar ke dekhte haiñ
charāġh baam se jis ko utar ke dekhte haiñ
mulā.emat hai ġhazal kī sī us kī bātoñ meñ
ye baat hai to chalo baat karke dekhte haiñ
sahīfa-e-lab-o-ruḳhsār-o-pairahan us kā
tilāvatoñ meñ haiñ patte shajar ke dekhte haiñ
balā ke naame haiñ do sīpyā.ī āñkhoñ meñ
gurez-o-gardish-o-ġhamze nazar ke dekhte haiñ
balā.eñ lete hue husn-e-be-nihāyat kī
tirī taraf tire ushshāq Dar ke dekhte haiñ
charāġhte haiñ kisī nazm ke ghane abrū
kisī ġhazal kī judā.ī meñ mar ke dekhte haiñ
Thahar gayā ho na āvāz-e-pā tirī sun kar
so dil pe ra.asha-zada haath dhar ke dekhte haiñ
karaḳhtagī hai na ḳhud-raftagī na fahmā.ish
mizāj badle hue ham safar ke dekhte haiñ
ruke hue haiñ bahut log dekhne ke liye
so ham bhī sho.abde us ḳhvāb-gar ke dekhte haiñ
bharī hai rañj kī bārish se umr kī kārez
ham ek kone meñ baiThe haiñ ghir ke dekhte haiñ
ab uTh bhī jaa.e koī ḳhvāb-gāh-e-girya se
vo pau phaTī vo manāre sahar ke dekhte haiñ
ye sīmyā.ī badan ḳhvāb-e-nīm-shab to nahīñ
so ḳhāl-o-ḳhad kī tamāzat ko Dar ke dekhte haiñ
ai tere sabza-e-ruḳhsār kī dil-āvezī
navāh-e-chashm se aañsū guzar ke dekhte haiñ
kaTī hai umr ġhazal-zād-gāñ kī sohbat meñ
unhī ke kūche meñ āḳhir bikhar ke dekhte haiñ
mashaqqatī haiñ tire kāḳh-o-kū-e-hijr ke ham
sharāb-e-hijr pyāle meñ bhar ke dekhte haiñ
jhukā.e kāñdhoñ ko ushshāq pā-ba-gil kī tarah
niDhāl pyaas se ham log thar ke dekhte haiñ
balā kā qaht hai sailāb hai ta.attul hai
koī vatan hai manāzir ġhadar ke dekhte haiñ
ho izn sañg-e-lahad ke tavāf kā 'āmir'
tuyūr uḌte hue kāshġhar ke dekhte haiñ
chalī hai tohmat-o-takzīb kī havā 'āmir'
so shahr-e-ḳhāk-o-ḳhabar meñ Thahar ke dekhte haiñ
lahu mein rang-e-suKHan us ka bhar ke dekhte hain
charagh baam se jis ko utar ke dekhte hain
mulaemat hai ghazal ki si us ki baaton mein
ye baat hai to chalo baat karke dekhte hain
sahifa-e-lab-o-ruKHsar-o-pairahan us ka
tilawaton mein hain patte shajar ke dekhte hain
bala ke name hain do sipyai aankhon mein
gurez-o-gardish-o-ghamze nazar ke dekhte hain
balaen lete hue husn-e-be-nihayat ki
teri taraf tere ushshaq Dar ke dekhte hain
charaghte hain kisi nazm ke ghane abru
kisi ghazal ki judai mein mar ke dekhte hain
Thahar gaya ho na aawaz-e-pa teri sun kar
so dil pe rasha-zada hath dhar ke dekhte hain
karaKHtagi hai na KHud-raftagi na fahmaish
mizaj badle hue hum safar ke dekhte hain
ruke hue hain bahut log dekhne ke liye
so hum bhi shoabde us KHwab-gar ke dekhte hain
bhari hai ranj ki barish se umr ki karez
hum ek kone mein baiThe hain ghir ke dekhte hain
ab uTh bhi jae koi KHwab-gah-e-girya se
wo pau phaTi wo manare sahar ke dekhte hain
ye simyai badan KHwab-e-nim-shab to nahin
so KHal-o-KHad ki tamazat ko Dar ke dekhte hain
ai tere sabza-e-ruKHsar ki dil-awezi
nawah-e-chashm se aansu guzar ke dekhte hain
kaTi hai umr ghazal-zad-gan ki sohbat mein
unhi ke kuche mein aaKHir bikhar ke dekhte hain
mashaqqati hain tere kaKH-o-ku-e-hijr ke hum
sharab-e-hijr pyale mein bhar ke dekhte hain
jhukae kandhon ko ushshaq pa-ba-gil ki tarah
niDhaal pyas se hum log thar ke dekhte hain
bala ka qaht hai sailab hai tattul hai
koi watan hai manazir ghadar ke dekhte hain
ho izn sang-e-lahad ke tawaf ka 'amir'
tuyur uDte hue kashghar ke dekhte hain
chali hai tohmat-o-takzib ki hawa 'amir'
so shahr-e-KHak-o-KHabar mein Thahar ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.