Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lahu mein sadh sat ko bhar raha hun

Nasir Shahzad

lahu mein sadh sat ko bhar raha hun

Nasir Shahzad

MORE BYNasir Shahzad

    lahū meñ saadh sat ko bhar rahā huuñ

    koī hujra charāġhāñ kar rahā huuñ

    jhaTak kar dil se saare lobh lālach

    yahāñ ban-bās meñ behtar rahā huuñ

    azāb-e-āḳhirat baat aage

    itāb-e-zindagī se Dar rahā huuñ

    mirī pahchān merā gyaan hijrat

    sadā ausān meñ be-ghar rahā huuñ

    koī dekhe na aa kar dāġh-e-hasrat

    badan par oḌh kar chādar rahā huuñ

    mulavvis thā maiñ har be-rah-ravī meñ

    magar ilzām tujh par dhar rahā huuñ

    taḌapte tan ko miTTī par girā kar

    sar-e-sahrā burīda-sar rahā huuñ

    darakte rañg bādal ḳhvāb ḳhushbū

    samay saj se bahra-var rahā huuñ

    Darā huuñ tere ḳhauf-e-be-bahā se

    musalle par sar-e-mahshar rahā huuñ

    tirī be-e'tinā.ī se gilā kyā

    maiñ apne aap par dūbhar rahā huuñ

    lahu mein sadh sat ko bhar raha hun

    koi hujra charaghan kar raha hun

    jhaTak kar dil se sare lobh lalach

    yahan ban-bas mein behtar raha hun

    azab-e-aKHirat ki baat aage

    itab-e-zindagi se Dar raha hun

    meri pahchan mera gyan hijrat

    sada ausan mein be-ghar raha hun

    koi dekhe na aa kar dagh-e-hasrat

    badan par oDh kar chadar raha hun

    mulawwis tha main har be-rah-rawi mein

    magar ilzam tujh par dhar raha hun

    taDapte tan ko miTTi par gira kar

    sar-e-sahra burida-sar raha hun

    darakte rang baadal KHwab KHushbu

    samay ki saj se bahra-war raha hun

    Dara hun tere KHauf-e-be-baha se

    musalle par sar-e-mahshar raha hun

    teri be-e'tinai se gila kya

    main apne aap par dubhar raha hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now