lahu mein tar hai zamane ka intiKHab wajud
lahū meñ tar hai zamāne kā intiḳhāb vajūd
salīb-e-vaqt pe aayā hai kāmyāb vajūd
hasad kī aag meñ jalte raho to jalte raho
chaman kī ḳhaak meñ hogā mirā gulāb vajūd
vajūd-e-ḳhāk hī to ḳhaak kī amānat hai
tumhārā ḳhauf rahegā mirā hijāb vajūd
ye TūTtā nahīñ jhuktā nahīñ badaltā nahīñ
tumhāre saare savāloñ kā hai javāb vajūd
tumhāre din meñ mirā naam hī to sūraj hai
tumhārī raat meñ 'manzar' hai māhtāb vajūd
lahu mein tar hai zamane ka intiKHab wajud
salib-e-waqt pe aaya hai kaamyab wajud
hasad ki aag mein jalte raho to jalte raho
chaman ki KHak mein hoga mera gulab wajud
wajud-e-KHak hi to KHak ki amanat hai
tumhaara KHauf rahega mera hijab wajud
ye TuTta nahin jhukta nahin badalta nahin
tumhaare sare sawalon ka hai jawab wajud
tumhaare din mein mera nam hi to suraj hai
tumhaari raat mein 'manzar' hai mahtab wajud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.