lahu mein tar ye dayar bhi dekhna hai ek din
lahū meñ tar ye dayār bhī dekhnā hai ik din
mujhe tirā iḳhtiyār bhī dekhnā hai ik din
guzarnā hai ek rāste se havā kī sūrat
charāġh ko sogvār bhī dekhnā hai ik din
talāsh karnī hai ashk aur ā.īne meñ nisbat
kisī kī āñkhoñ ke paar bhī dekhnā hai ik din
abhī to duniyā kī sard-mehrī se laḌ rahā huuñ
sulūk-e-parvardigār bhī dekhnā hai ik din
niyām se teġh bhī mujhe khīñchnī hai 'shahzād'
aur apnā dil taar taar bhī dekhnā hai ik din
lahu mein tar ye dayar bhi dekhna hai ek din
mujhe tera iKHtiyar bhi dekhna hai ek din
guzarna hai ek raste se hawa ki surat
charagh ko sogwar bhi dekhna hai ek din
talash karni hai ashk aur aaine mein nisbat
kisi ki aankhon ke par bhi dekhna hai ek din
abhi to duniya ki sard-mehri se laD raha hun
suluk-e-parwardigar bhi dekhna hai ek din
niyam se tegh bhi mujhe khinchni hai 'shahzad'
aur apna dil tar tar bhi dekhna hai ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.