lahu se waqt ki zulfen sanwarne wala
lahū se vaqt kī zulfeñ sañvārne vaalā
sar-e-sināñ hai ḳhudā ko pukārne vaalā
tujhe zamīn ke uupar vahī chalātā hai
mujhe zamīn ke andar utārne vaalā
mire liye mire jaisā hī DhūñD kar laao
kisī bhī haal meñ himmat na hārne vaalā
kisī se mil ke bichhaḌne kā ġham nahīñ kartā
tamām-umr akele guzārne vaalā
maiñ apne hāl-e-pareshāñ se kis tarah niklūñ
mujhe bigāḌ gayā hai sudhārne vaalā
lahu se waqt ki zulfen sanwarne wala
sar-e-sinan hai KHuda ko pukarne wala
tujhe zamin ke upar wahi chalata hai
mujhe zamin ke andar utarne wala
mere liye mere jaisa hi DhunD kar lao
kisi bhi haal mein himmat na haarne wala
kisi se mil ke bichhaDne ka gham nahin karta
tamam-umr akele guzarne wala
main apne haal-e-pareshan se kis tarah niklun
mujhe bigaD gaya hai sudhaarne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.