lahuluhan paron par uDan rakh dena
lahūluhān paroñ par uḌaan rakh denā
shikastagī meñ nayā imtihān rakh denā
mire badan pe laboñ ke nishān rakh denā
na.ī zamīñ pe nayā āsmān rakh denā
agar kabhī mirā sach jānñe kī ḳhvāhish ho
kisī bhī shaḳhs ke muñh meñ zabān rakh denā
hamāre ghar kī ye dīvār kitnī tanhā hai
jo ho sake to koī sā.ebān rakh denā
laḌā.ī meñ jo kisī kā suhāg chīḳh uThe
'salīm' haath se tīr-o-kamān rakh denā
lahuluhan paron par uDan rakh dena
shikastagi mein naya imtihan rakh dena
mere badan pe labon ke nishan rakh dena
nai zamin pe naya aasman rakh dena
agar kabhi mera sach jaanne ki KHwahish ho
kisi bhi shaKHs ke munh mein zaban rakh dena
hamare ghar ki ye diwar kitni tanha hai
jo ho sake to koi saeban rakh dena
laDai mein jo kisi ka suhag chiKH uThe
'salim' hath se tir-o-kaman rakh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.