lakaDhaare tumhaare khel ab achchhe nahin lagte
lakaḌhāre tumhāre khel ab achchhe nahīñ lagte
hameñ to ye tamāshe sab ke sab achchhe nahīñ lagte
ujāle meñ hameñ sūraj bahut achchhā nahīñ lagtā
sitāre bhī sar-e-dāmān-e-shab achchhe nahīñ lagte
to ye hotā hai ham ghar se nikalnā chhoḌ dete haiñ
kabhī apnī galī ke log jab achchhe nahīñ lagte
ye kah denā ki un se kuchh gila-shikva nahīñ ham ko
magar kuchh log yuuñ hī be-sabab achchhe nahīñ lagte
na raas aa.egī jiine kī adā shāyad kabhī ham ko
kabhī jiinā kabhī jiine ke Dhab achchhe nahīñ lagte
lakaDhaare tumhaare khel ab achchhe nahin lagte
hamein to ye tamashe sab ke sab achchhe nahin lagte
ujale mein hamein suraj bahut achchha nahin lagta
sitare bhi sar-e-daman-e-shab achchhe nahin lagte
to ye hota hai hum ghar se nikalna chhoD dete hain
kabhi apni gali ke log jab achchhe nahin lagte
ye kah dena ki un se kuchh gila-shikwa nahin hum ko
magar kuchh log yun hi be-sabab achchhe nahin lagte
na ras aaegi jine ki ada shayad kabhi hum ko
kabhi jina kabhi jine ke Dhab achchhe nahin lagte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.