lakir khinchna diwar mat bana lena
lakīr khīñchnā dīvār mat banā lenā
tum iḳhtilāf ko āzār mat banā lenā
ba-nām-e-dād-e-suḳhan ye jo shor barpā hai
ise kalām kā me.aar mat banā lenā
kahānī sunte raho shauq se magar ḳhud ko
kisī kahānī kā kirdār mat banā lenā
tumhāre ashkoñ kī goyā.ī se maiñ Dartā huuñ
unheñ vasīl-e-iz.hār mat banā lenā
mohabbatoñ ke safar meñ yaqīñ to lāzim hai
kisī ke va.ade ko patvār mat banā lenā
visāl se hī nikalte haiñ hijr ke mausam
guloñ kī shāḳh ko talvār mat banā lenā
haveliyoñ meñ jo baaqī sharāfateñ haiñ abhī
ab un ko zīnat-e-bāzār mat banā lenā
ye shohratoñ kī talab Thiik hai magar 'tāriq'
tum apnī zaat ko aḳhbār mat banā lenā
lakir khinchna diwar mat bana lena
tum iKHtilaf ko aazar mat bana lena
ba-nam-e-dad-e-suKHan ye jo shor barpa hai
ise kalam ka mear mat bana lena
kahani sunte raho shauq se magar KHud ko
kisi kahani ka kirdar mat bana lena
tumhaare ashkon ki goyai se main Darta hun
unhen wasil-e-izhaar mat bana lena
mohabbaton ke safar mein yaqin to lazim hai
kisi ke wade ko patwar mat bana lena
visal se hi nikalte hain hijr ke mausam
gulon ki shaKH ko talwar mat bana lena
haweliyon mein jo baqi sharafaten hain abhi
ab un ko zinat-e-bazar mat bana lena
ye shohraton ki talab Thik hai magar 'tariq'
tum apni zat ko aKHbar mat bana lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.