lakiron mein kahin ajdad ka paisa nahin hota
lakīroñ meñ kahīñ ajdād ka paisa nahīñ hotā
ġharīboñ kā nasība haath pe likhā nahīñ hotā
ye ahl-e-zar ġharīboñ ko kabhī jiine nahīñ dete
agarche us ne sab ko ek sā dekhā nahīñ hotā
ye kashkol-e-gadā.ī hai faqat ma.azūr ko zebā
kabhī mehnat-kashoñ ke haath meñ kaasa nahīñ hotā
vo chāhe jaisī bhī ho maañ kī mamtā kam nahīñ hotī
bhale hī āj-kal beTā har ik maañ kā nahīñ hotā
virāsat baañT lete haiñ jo bachche apne hisse kī
kamā.ī sab hai jin kī un kā hī hissa nahīñ hotā
bhale 'tanvīr' umda khānā qismat meñ na ho us kī
kisī muflis kā bachcha bhī kabhī bhūkā nahīñ hotā
lakiron mein kahin ajdad ka paisa nahin hota
gharibon ka nasiba hath pe likha nahin hota
ye ahl-e-zar gharibon ko kabhi jine nahin dete
agarche us ne sab ko ek sa dekha nahin hota
ye kashkol-e-gadai hai faqat mazur ko zeba
kabhi mehnat-kashon ke hath mein kasa nahin hota
wo chahe jaisi bhi ho man ki mamta kam nahin hoti
bhale hi aaj-kal beTa har ek man ka nahin hota
wirasat banT lete hain jo bachche apne hisse ki
kamai sab hai jin ki un ka hi hissa nahin hota
bhale 'tanwir' umda khana qismat mein na ho us ki
kisi muflis ka bachcha bhi kabhi bhuka nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.