lamba rasta nange panw
lambā rastā nañge paañv
jaanā hai par apne gaañv
shahar baḌā zālim hai yaar
bulā rahī pīpal kī chhāñv
kyoñ itne majbūr hue
kis ne khelā aisā daañv
ūñchī lambī building se
behtar hai kāġhaz kī naav
ruknā mat bas chalnā hai
chāhe pairoñ meñ ho ghaav
lamba rasta nange panw
jaana hai par apne ganw
shahar baDa zalim hai yar
bula rahi pipal ki chhanw
kyon itne majbur hue
kis ne khela aisa danw
unchi lambi building se
behtar hai kaghaz ki naw
rukna mat bas chalna hai
chahe pairon mein ho ghaw
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.