lambi raat se jab mili uski zulf-e-daraaz
lambī raat se jab milī us kī zulf-e-darāz
khul kar saarī gutthiyāñ phir se ban ga.iiñ raaz
us kī ik āvāz se sharmāyā sañgīt
sārañgī kā soz kyā kyā sitār kā saaz
merā qaa.il ho gayā ye saarā sansār
rañg-e-nāz meñ jab milā merā rañg-e-niyāz
sāzoñ kā sañgīt kyā pāyal kī jhankār
kaun sune is shor meñ dil terī āvāz
un āñkhoñ meñ Daal kar jab āñkheñ us raat
maiñ Duubā to mil ga.e Duube hue jahāz
lambi raat se jab mili us ki zulf-e-daraaz
khul kar sari gutthiyan phir se ban gain raaz
us ki ek aawaz se sharmaya sangit
sarangi ka soz kya kya sitar ka saz
mera qail ho gaya ye sara sansar
rang-e-naz mein jab mila mera rang-e-niyaz
sazon ka sangit kya payal ki jhankar
kaun sune is shor mein dil teri aawaz
un aankhon mein Dal kar jab aankhen us raat
main Duba to mil gae Dube hue jahaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.