lamha-bhar mein apna kar le wo nazar hai muKHtalif
lamha-bhar meñ apnā kar le vo nazar hai muḳhtalif
kyā kareñ tujh se talab ham terā sar hai muḳhtalif
tum ho māhir chaak karne meñ kisī bhī chiiz ko
joḌtā huuñ maiñ mirā dast-e-hunar hai muḳhtalif
maiñ kisī manzil ko manzil aaj tak samjhā nahīñ
haiñ alag socheñ mirī merī Dagar hai muḳhtalif
ḳhvāhish-e-sīm-o-sadaf us ko kahāñ hai tū batā
maiñ na kahtā thā tujhe vo ik bashar hai muḳhtalif
is zamīñ kī daldaloñ se vāsta un ko nahīñ
āsmānoñ par parindoñ kā safar hai muḳhtalif
in dinoñ dīvār koī darmiyāñ us ke na thī
maiñ samajhtā thā zamīñ par merā ghar hai muḳhtalif
aañkh meñ aañsū haiñ us ke bal jabīñ par haiñ paḌe
lag rahā hai ab ke ḳhat meñ kuchh ḳhabar hai muḳhtalif
ġham kā sūraj chāñd ġham kā ġham kī dhartī hai yahāñ
kyā batā.ūñ merī duniyā kis qadar hai muḳhtalif
ḳhuuñ meñ lat-pat raat se shāyad milī hai ye gale
ġhaur se dekho 'nazar' rang-e-sahar hai muḳhtalif
lamha-bhar mein apna kar le wo nazar hai muKHtalif
kya karen tujh se talab hum tera sar hai muKHtalif
tum ho mahir chaak karne mein kisi bhi chiz ko
joDta hun main mera dast-e-hunar hai muKHtalif
main kisi manzil ko manzil aaj tak samjha nahin
hain alag sochen meri meri Dagar hai muKHtalif
KHwahish-e-sim-o-sadaf us ko kahan hai tu bata
main na kahta tha tujhe wo ek bashar hai muKHtalif
is zamin ki daldalon se wasta un ko nahin
aasmanon par parindon ka safar hai muKHtalif
in dinon diwar koi darmiyan us ke na thi
main samajhta tha zamin par mera ghar hai muKHtalif
aankh mein aansu hain us ke bal jabin par hain paDe
lag raha hai ab ke KHat mein kuchh KHabar hai muKHtalif
gham ka suraj chand gham ka gham ki dharti hai yahan
kya bataun meri duniya kis qadar hai muKHtalif
KHun mein lat-pat raat se shayad mili hai ye gale
ghaur se dekho 'nazar' rang-e-sahar hai muKHtalif
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.