lamha-e-imkan ko pahlu badalte dekhna
lamha-e-imkān ko pahlū badalte dekhnā
ātish-e-be-ra.png meñ ḳhud ko pighalte dekhnā
ishq meñ ye faisla hai is dil-e-saudā.ī kā
ḳhud ko girte dekhnā us ko sañbhalte dekhnā
iztirāb-e-dard meñ had se guzar jaanā nahīñ
husn-e-shām-e-ārzū kā ruup Dhalte dekhnā
umr-e-be-andāz ko kaafī sahārā ho gayā
ḳhvāb-e-ḳhush-andāz us ke saath chalte dekhnā
reg-e-be-tadbīr meñ parvāz mahv-e-ḳhvāb hai
ik havā-e-tez meñ us ko machalte dekhnā
āsmāñ ai āsmāñ kyā merī qismat meñ nahīñ
us nigah meñ ḳhvāhishoñ kī aag jalte dekhnā
lamha-e-imkan ko pahlu badalte dekhna
aatish-e-be-rapng mein KHud ko pighalte dekhna
ishq mein ye faisla hai is dil-e-saudai ka
KHud ko girte dekhna us ko sanbhalte dekhna
iztirab-e-dard mein had se guzar jaana nahin
husn-e-sham-e-arzu ka rup Dhalte dekhna
umr-e-be-andaz ko kafi sahaara ho gaya
KHwab-e-KHush-andaz us ke sath chalte dekhna
reg-e-be-tadbir mein parwaz mahw-e-KHwab hai
ek hawa-e-tez mein us ko machalte dekhna
aasman ai aasman kya meri qismat mein nahin
us nigah mein KHwahishon ki aag jalte dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.