lamha-e-zist KHwab jaisa hai
lamha-e-zīst ḳhvāb jaisā hai
aadmī ik habāb jaisā hai
jis ko dariyā samajh rahe ho tum
vo chamaktā sarāb jaisā hai
mere āñgan meñ kheltā bachcha
ek taaza gulāb jaisā hai
merī āñkhoñ meñ hai ye gangā-jal
merā dil bhī chanāb jaisā hai
mas.ala zindagī kī taḳhtī par
ek uljhā hisāb jaisā hai
jis ko 'taskīn' log kahte haiñ
vo to ḳhāna-ḳharāb jaisā hai
lamha-e-zist KHwab jaisa hai
aadmi ek habab jaisa hai
jis ko dariya samajh rahe ho tum
wo chamakta sarab jaisa hai
mere aangan mein khelta bachcha
ek taza gulab jaisa hai
meri aankhon mein hai ye ganga-jal
mera dil bhi chanab jaisa hai
masala zindagi ki taKHti par
ek uljha hisab jaisa hai
jis ko 'taskin' log kahte hain
wo to KHana-KHarab jaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.