lamha lamha bikhra hun
lamha lamha bikhrā huuñ
sadiyoñ kā afsāna huuñ
naam hai merā ḳhuuñ lekin
paanī se bhī sastā huuñ
tum ehsās se be-parvā
maiñ ehsās kā maarā huuñ
tum motī ho gauhar ho
maiñ aañsū kā qatra huuñ
hai koī kyā mujh jaisā
hangāmoñ meñ tanhā huuñ
ishq se rishta hai lekin
aksar us se Dartā huuñ
aur mujhe rusvā na kar
vaise hī maiñ rusvā huuñ
tum mujh se begāna nahīñ
maiñ ḳhud se begāna huuñ
tum chhū kar motī kar do
maiñ patthar kā TukḌā huuñ
lamha lamha bikhra hun
sadiyon ka afsana hun
nam hai mera KHun lekin
pani se bhi sasta hun
tum ehsas se be-parwa
main ehsas ka mara hun
tum moti ho gauhar ho
main aansu ka qatra hun
hai koi kya mujh jaisa
hangamon mein tanha hun
ishq se rishta hai lekin
aksar us se Darta hun
aur mujhe ruswa na kar
waise hi main ruswa hun
tum mujh se begana nahin
main KHud se begana hun
tum chhu kar moti kar do
main patthar ka TukDa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.