lamha lamha mera har ek se siwa jagta hai
lamha lamha mirā har ik se sivā jāgtā hai
maiñ alag jāgtā huuñ dard judā jāgtā hai
baḳht bhī sote haiñ aur ghar ke makīñ bhī lekin
sarhad-e-shab pe kahīñ ek diyā jāgtā hai
ḳhvāb ho jaane se pahle koī harf-e-ḳhush-kām
isī ummīd pe ye zehn-e-rasā jāgtā hai
ham pe hī ḳhaas haiñ kuchh us kī ināyāt so ab
fitna is shahr meñ har roz nayā jāgtā hai
ai mire dard batā had se guzarnā kab hai
tū jo yuuñ jāgtā rahtā hai to kyā jāgtā hai
lamha lamha mera har ek se siwa jagta hai
main alag jagta hun dard juda jagta hai
baKHt bhi sote hain aur ghar ke makin bhi lekin
sarhad-e-shab pe kahin ek diya jagta hai
KHwab ho jaane se pahle koi harf-e-KHush-kaam
isi ummid pe ye zehn-e-rasa jagta hai
hum pe hi KHas hain kuchh us ki inayat so ab
fitna is shahr mein har roz naya jagta hai
ai mere dard bata had se guzarna kab hai
tu jo yun jagta rahta hai to kya jagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.