lamha lamha shewan tha
lamha lamha shevan thā
bhīgā bhīgā dāman thā
kāñTā kāñTā maḳhzan thā
badlā badlā gulshan thā
hariyālī tak ḳhushk huī
sūkhā sūkhā sāvan thā
yakjā.ī nā-mumkin thī
TuuTā TuuTā bandhan thā
aks na apnā dekh sake
reza reza darpan thā
vīrāne meñ phuul khile
ujḌā ujḌā gulshan thā
lahad thī apnī sahrā meñ
tanhā tanhā madfan thā
har-sū ġham ke saa.e the
sahmā sahmā bachpan thā
kūcha us kā kāhkashāñ
zarra zarra raushan thā
'sāḳhir' ko sab bhuul ga.e
apnā apnā bad-zan thā
lamha lamha shewan tha
bhiga bhiga daman tha
kanTa kanTa maKHzan tha
badla badla gulshan tha
hariyali tak KHushk hui
sukha sukha sawan tha
yakjai na-mumkin thi
TuTa TuTa bandhan tha
aks na apna dekh sake
reza reza darpan tha
virane mein phul khile
ujDa ujDa gulshan tha
lahad thi apni sahra mein
tanha tanha madfan tha
har-su gham ke sae the
sahma sahma bachpan tha
kucha us ka kahkashan
zarra zarra raushan tha
'saKHir' ko sab bhul gae
apna apna bad-zan tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.