lamha lamha shumar kaun kare
lamha lamha shumār kaun kare
umr bhar intizār kaun kare
koī va.ada bhī to vafā na huā
be-vafāoñ se pyaar kaun kare
shab-e-tīra-o-tār kā dāman
dekhiye taar taar kaun kare
dostī ek lafz-e-be-ma.anī
kis pe ab inhisār kaun kare
ai ġham-e-dost tere hote hue
ġham-e-lail-o-nahār kaun kare
tere is dard-e-lā-davā kā ilaaj
dil-e-zār-o-nazār kaun kare
silsila TūTnā thā TuuT gayā
ab use ustuvār kaun kare
lamha lamha shumar kaun kare
umr bhar intizar kaun kare
koi wada bhi to wafa na hua
be-wafaon se pyar kaun kare
shab-e-tira-o-tar ka daman
dekhiye tar tar kaun kare
dosti ek lafz-e-be-mani
kis pe ab inhisar kaun kare
ai gham-e-dost tere hote hue
gham-e-lail-o-nahaar kaun kare
tere is dard-e-la-dawa ka ilaj
dil-e-zar-o-nazar kaun kare
silsila TuTna tha TuT gaya
ab use ustuwar kaun kare
- Book : Rag-e-jan (Pg. 175)
- Author : Ahmad Rahi
- Publication : Al-Hamd Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.