lamha-lamha ye jo zanjir hua jata hun
lamha-lamha ye jo zanjīr huā jaatā huuñ
apne hī aap meñ tasḳhīr huā jaatā huuñ
koī kis tarah churā.egā ḳhad-o-ḳhāl mire
maiñ to dīvār pe tahrīr huā jaatā huuñ
jism par shauq-e-safar oḌh liyā hai maiñ ne
aur rah-e-ishq kā rahgīr huā jaatā huuñ
band ho dar bhī to de detā hai rauzan rastā
raushnī meñ tirī tanvīr huā jaatā huuñ
ye alag baat ki tū ne mujhe dekhā bhī nahīñ
kyoñ tire ḳhvāb kī ta.abīr huā jaatā huuñ
maiñ kahīñ ruk sā gayā huuñ na.e mausam kī tarah
apnī aamad meñ hī tāḳhīr huā jaatā huuñ
merā ahvāl batā detā hai ausāf us ke
āj-kal us kī maiñ tafsīr huā jaatā huuñ
barf sī oḌh lī 'shahzād' badan par apne
aur isī dhyān meñ tasvīr huā jaatā huuñ
lamha-lamha ye jo zanjir hua jata hun
apne hi aap mein tasKHir hua jata hun
koi kis tarah churaega KHad-o-KHal mere
main to diwar pe tahrir hua jata hun
jism par shauq-e-safar oDh liya hai main ne
aur rah-e-ishq ka rahgir hua jata hun
band ho dar bhi to de deta hai rauzan rasta
raushni mein teri tanwir hua jata hun
ye alag baat ki tu ne mujhe dekha bhi nahin
kyon tere KHwab ki tabir hua jata hun
main kahin ruk sa gaya hun nae mausam ki tarah
apni aamad mein hi taKHir hua jata hun
mera ahwal bata deta hai ausaf us ke
aaj-kal us ki main tafsir hua jata hun
barf si oDh li 'shahzad' badan par apne
aur isi dhyan mein taswir hua jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.