lamha wo teri yaad ka aise guzar gaya
lamha vo terī yaad kā aise guzar gayā
jaise ki phuul shāḳh se TuuTā bikhar gayā
kal chhāñv mil sakegī sabhī ko ye soch kar
jis ne lagā.e peḌ vo būḌhā kidhar gayā
jo pattharoñ ke badle meñ detā thā phal mujhe
daur-e-ḳhizāñ batā tū kahāñ vo shajar gayā
qaa.em hai dil meñ aaj bhī uḌne kā hausla
sayyād-e-vaqt laakh mire par katar gayā
dhaḌkan sunā.ī detī thī har ek lafz meñ
kyā jaane shā.irī se kahāñ vo hunar gayā
lamha wo teri yaad ka aise guzar gaya
jaise ki phul shaKH se TuTa bikhar gaya
kal chhanw mil sakegi sabhi ko ye soch kar
jis ne lagae peD wo buDha kidhar gaya
jo pattharon ke badle mein deta tha phal mujhe
daur-e-KHizan bata tu kahan wo shajar gaya
qaem hai dil mein aaj bhi uDne ka hausla
sayyaad-e-waqt lakh mere par katar gaya
dhaDkan sunai deti thi har ek lafz mein
kya jaane shairi se kahan wo hunar gaya
- Book : سمے کمہار ہے
- Author : چندر واحد
- Publication : اے۔1؍بشچمی گورکھ پارک شاہدرہ دہلی۔32 (2001)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.