lamhat gham-e-ishq ke bebak bahut the
lamhāt ġham-e-ishq ke bebāk bahut the
qisse merī chāhat ke ḳhatarnāk bahut the
maiñ ḳhuun ke dhāgoñ se unheñ sī nahīñ paayā
zaḳhmoñ ke garebān mire chaak bahut the
aa.ī hai balā ek falak se gumān thā
jab ġhaur kiyā maiñ ne to aflāk bahut the
aa jaatā hai ḳhud maut ko rah rah ke pasīna
tevar merī hastī ke ġhazabnāk bahut the
duniyā to rahī chāñd sitāroñ kī havas meñ
ambār ḳhazānoñ ke tah-e-ḳhāk bahut the
afkār ke phūloñ ko bhī jab ġhaur se dekhā
kamyāb the gul aur ḳhas-o-ḳhāshāk bahut the
raas aane lagā pairahan-e-ḳhāk bhī ham ko
qudrat ke karishme pas-e-poshāk bahut the
siine meñ añdhere ke thā poshīda saverā
zahroñ ko chhupā.e hue tiryāk bahut the
kuchh logoñ kī rūhoñ pe to qābiz rahā shaitāñ
the ujle libās un ke vo nāpāk bahut the
maiñ thā jo ubhartā gayā 'tauqīr' bhañvar se
hastī meñ merī daldal-o-loshāk bahut the
lamhat gham-e-ishq ke bebak bahut the
qisse meri chahat ke KHatarnak bahut the
main KHun ke dhagon se unhen si nahin paya
zaKHmon ke gareban mere chaak bahut the
aai hai bala ek falak se guman tha
jab ghaur kiya main ne to aflak bahut the
aa jata hai KHud maut ko rah rah ke pasina
tewar meri hasti ke ghazabnak bahut the
duniya to rahi chand sitaron ki hawas mein
ambar KHazanon ke tah-e-KHak bahut the
afkar ke phulon ko bhi jab ghaur se dekha
kamyab the gul aur KHas-o-KHashak bahut the
ras aane laga pairahan-e-KHak bhi hum ko
qudrat ke karishme pas-e-poshak bahut the
sine mein andhere ke tha poshida sawera
zahron ko chhupae hue tiryak bahut the
kuchh logon ki ruhon pe to qabiz raha shaitan
the ujle libas un ke wo napak bahut the
main tha jo ubharta gaya 'tauqir' bhanwar se
hasti mein meri daldal-o-loshak bahut the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.