lamhe bechaini ke tu ne bhi guzare honge
lamhe bechainī ke tū ne bhī guzāre hoñge
terī āñkhoñ meñ mire bhī to nazāre hoñge
merī nādār mohabbat kī shikāyat tū na kar
terī naḳhvat ne kabhī haath pasāre hoñge
be-ḳhudī jaane kahāñ mujh ko liye phirtī hai
kisī be-nām sī manzil ke ishāre hoñge
kabhī ġharqāb huā thā jo safīna merā
jāntā thā ki bahut duur kināre hoñge
lamhe bechaini ke tu ne bhi guzare honge
teri aankhon mein mere bhi to nazare honge
meri nadar mohabbat ki shikayat tu na kar
teri naKHwat ne kabhi hath pasare honge
be-KHudi jaane kahan mujh ko liye phirti hai
kisi be-nam si manzil ke ishaare honge
kabhi gharqab hua tha jo safina mera
jaanta tha ki bahut dur kinare honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.