lamhe lamhe ki har ek radd-o-badal ka marsiya
lamhe lamhe kī har ik radd-o-badal kā marsiya
kyā hameñ kahnā paḌegā ab ġhazal kā marsiya
haa.e ye kaisī sadī meñ kah rahe haiñ ham ġhazal
jo sadī paḌhtī hai ḳhud ik ek pal kā marsiya
kal jo duniyā meñ hue ham jaise kuchh hassās log
aaj ke ash.ār kahlā.eñge kal kā marsiya
jo bhī zad meñ aaya vo aañsū bahā.egā faqat
mas.ale ban jā.eñge jab apne hal kā marsiya
kaash ye bhī sochte patthar uThāne vaale haath
likhte likhte thak na jaa.eñ peḌ phal kā marsiya
ai ḳhudā ham ko tū aise har amal se baaz rakh
umr bhar paḌhvā.e jo radd-e-amal kā marsiya
aaj tak bhūle na ham 'shāhid' to bhūleñge bhī kyā
tā-qayāmat sabr ke nemul-badal kā marsiya
lamhe lamhe ki har ek radd-o-badal ka marsiya
kya hamein kahna paDega ab ghazal ka marsiya
hae ye kaisi sadi mein kah rahe hain hum ghazal
jo sadi paDhti hai KHud ek ek pal ka marsiya
kal jo duniya mein hue hum jaise kuchh hassas log
aaj ke ashaar kahlaenge kal ka marsiya
jo bhi zad mein aaya wo aansu bahaega faqat
masale ban jaenge jab apne hal ka marsiya
kash ye bhi sochte patthar uThane wale hath
likhte likhte thak na jaen peD phal ka marsiya
ai KHuda hum ko tu aise har amal se baz rakh
umr bhar paDhwae jo radd-e-amal ka marsiya
aaj tak bhule na hum 'shahid' to bhulenge bhi kya
ta-qayamat sabr ke nemul-badal ka marsiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.