lamhe shab-e-visal ke sarf-e-visal ho gae
lamhe shab-e-visāl ke sarf-e-visāl ho ga.e
us ko bhī niiñd aa ga.ī ham bhī niDhāl ho ga.e
kaise hasīn log the kaisī hasīn mahfileñ
vo jo ḳhayāl-o-ḳhvāb the ḳhvāb-o-ḳhayāl ho ga.e
maiñ bhī thā rashk-e-ā.īna tum bhī the rashk-e-ā.īna
maiñ bhī sifāl ho gayā tum bhī sifāl ho ga.e
mujh ko thī un kī zaat se aisī musābqat ki bas
jab maiñ banā misāl to vo be-misāl ho ga.e
chashm vo nāz-āfrīñ khul ke baras paḌeñ kahīñ
ham se ka.ī nihāl-e-ġham phir se nihāl ho ga.e
bāloñ meñ barf thī yahāñ ḳhvāhish bhī sard thī yahāñ
us ne jo aañch dī to ham sho.ala-ḳhisāl ho ga.e
gutthī hai utnī gunjlak asrār-e-kā.enāt kī
jitne mire javāb the saare savāl ho ga.e
kāyā-kalap huī hai yuuñ gurgān-e-dasht-e-sūs kī
girya-kunāñ jamāl-jū zohra-jamāl ho ga.e
lamhe shab-e-visal ke sarf-e-visal ho gae
us ko bhi nind aa gai hum bhi niDhaal ho gae
kaise hasin log the kaisi hasin mahfilen
wo jo KHayal-o-KHwab the KHwab-o-KHayal ho gae
main bhi tha rashk-e-aina tum bhi the rashk-e-aina
main bhi sifal ho gaya tum bhi sifal ho gae
mujh ko thi un ki zat se aisi musabqat ki bas
jab main bana misal to wo be-misal ho gae
chashm wo naz-afrin khul ke baras paDen kahin
hum se kai nihaal-e-gham phir se nihaal ho gae
baalon mein barf thi yahan KHwahish bhi sard thi yahan
us ne jo aanch di to hum shoala-KHisal ho gae
gutthi hai utni gunjlak asrar-e-kaenat ki
jitne mere jawab the sare sawal ho gae
kaya-kalap hui hai yun gurgan-e-dasht-e-sus ki
girya-kunan jamal-ju zohra-jamal ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.