lamhe shumar zat bhi karne nahin diye
lamhe shumār zaat bhī karne nahīñ diye
puure ye vājibāt bhī karne nahīñ diye
pesh-e-nazar haiñ apne muqaddar kī talḳhiyāñ
un se mutālibāt bhī karne nahīñ diye
badle jo harf lafz ke ma.anī badal ga.e
mahfūz vāqi.āt bhī karne nahīñ diye
duniyā ke sānehāt ne dil ko rulā diyā
tahrīr hādsāt bhī karne nahīñ diye
mausam na.e the dil ke kañval kyuuñ na khul sake
kuchh ahd-e-iltifāt bhī karne nahīñ diye
miltī koī kalīd hī irfān-e-zāt kī
duniyā ne tajrabāt bhī karne nahīñ diye
lamhe shumar zat bhi karne nahin diye
pure ye wajibaat bhi karne nahin diye
pesh-e-nazar hain apne muqaddar ki talKHiyan
un se mutalibaat bhi karne nahin diye
badle jo harf lafz ke mani badal gae
mahfuz waqiat bhi karne nahin diye
duniya ke sanehat ne dil ko rula diya
tahrir hadsat bhi karne nahin diye
mausam nae the dil ke kanwal kyun na khul sake
kuchh ahd-e-iltifat bhi karne nahin diye
milti koi kalid hi irfan-e-zat ki
duniya ne tajrabaat bhi karne nahin diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.