lamhon ke ishaare mein jafa dekh ke chup hai
Interesting Fact
(Tahreer, June 2009)
lamhoñ ke ishāre meñ jafā dekh ke chup hai
kis vāste har ġham ko ḳhudā dekh ke chup hai
bādal kī riyāsat meñ sisaktā sā ujālā
shab-tāb kī ma.asūm ziyā dekh ke chup hai
dahshat ke havāle se pareshān kabhī thā
har shāḳh meñ ab phuul khilā dekh ke chup hai
sarsabz libāde meñ sajā.e thā jo sapnā
chehre kā abhī rañg uḌā dekh ke chup hai
dil-shād manāzir ke ahāte meñ zamāna
māyūs tasavvur ko khaḌā dekh ke chup hai
dastak kabhī tūfān kī pur-josh thī 'ja.afar'
bikhrī huī ḳhushbū kī ridā dekh ke chup hai
lamhon ke ishaare mein jafa dekh ke chup hai
kis waste har gham ko KHuda dekh ke chup hai
baadal ki riyasat mein sisakta sa ujala
shab-tab ki masum ziya dekh ke chup hai
dahshat ke hawale se pareshan kabhi tha
har shaKH mein ab phul khila dekh ke chup hai
sarsabz libaade mein sajae tha jo sapna
chehre ka abhi rang uDa dekh ke chup hai
dil-shad manazir ke ahate mein zamana
mayus tasawwur ko khaDa dekh ke chup hai
dastak kabhi tufan ki pur-josh thi 'jafar'
bikhri hui KHushbu ki rida dekh ke chup hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.