lamhon ki ghuTan KHauf ka tufan bahut hai
lamhoñ kī ghuTan ḳhauf kā tūfān bahut hai
merī hī tarah vaqt pareshān bahut hai
ham jis ke liye shahr-e-sakūñ chhoḌ ke aa.e
vo dasht-e-junūñ-ḳhez bhī sunsān bahut hai
mujh se mirī manzil kā pata pūchhne vaalo
har rāsta mere liye anjān bahut hai
har moḌ pe ik koh-e-girāñ ban ke khaḌe haiñ
TuuTe hue logoñ meñ abhī shaan bahut hai
ābād the jis meñ tirī yāroñ ke qabīle
vo qarya-e-jāñ in dinoñ vīrān bahut hai
ai dosto dukh-dard ke qisse na sunāo
'ḳhurshīd'-sahar aaj pareshān bahut hai
lamhon ki ghuTan KHauf ka tufan bahut hai
meri hi tarah waqt pareshan bahut hai
hum jis ke liye shahr-e-sakun chhoD ke aae
wo dasht-e-junun-KHez bhi sunsan bahut hai
mujh se meri manzil ka pata puchhne walo
har rasta mere liye anjaan bahut hai
har moD pe ek koh-e-giran ban ke khaDe hain
TuTe hue logon mein abhi shan bahut hai
aabaad the jis mein teri yaron ke qabile
wo qarya-e-jaan in dinon viran bahut hai
ai dosto dukh-dard ke qisse na sunao
'KHurshid'-sahar aaj pareshan bahut hai
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 450)
- Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
- Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj,New Delhi-110002 (July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
- Edition : July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.