lamhon ko udasi mein samona nahin achchha
lamhoñ ko udāsī meñ samonā nahīñ achchhā
taqdīr bigaḌ jaa.e to ronā nahīñ achchhā
har ek ko har ruḳh se haqīqat nazar aa.e
is ghar meñ koī aisā khilaunā nahīñ achchhā
jo log sadā zulm ke kāñToñ pe pale haiñ
un ke liye phūloñ kā bichhaunā nahīñ achchhā
pahle bhī bahut ashk sambhāle the magar aaj
motī vo mile haiñ ki pironā nahīñ achchhā
'manzar' bhī nafāsat ke alam-dār the lekin
ab ḳhuun ke in dāġhoñ ko dhonā nahīñ achchhā
lamhon ko udasi mein samona nahin achchha
taqdir bigaD jae to rona nahin achchha
har ek ko har ruKH se haqiqat nazar aae
is ghar mein koi aisa khilauna nahin achchha
jo log sada zulm ke kanTon pe pale hain
un ke liye phulon ka bichhauna nahin achchha
pahle bhi bahut ashk sambhaale the magar aaj
moti wo mile hain ki pirona nahin achchha
'manzar' bhi nafasat ke alam-dar the lekin
ab KHun ke in daghon ko dhona nahin achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.