lams aahaT ke hawaon ke nishan kuchh bhi nahin
lams aahaT ke havāoñ ke nishāñ kuchh bhī nahīñ
ḳhvāb hī ḳhvāb hai ye shahr yahāñ kuchh bhī nahīñ
koī guzrī huī shāmoñ meñ kabhī chamkā thā
is ghanī shab ke añdhere meñ ayaañ kuchh bhī nahīñ
chand saa.at ke sitāre haiñ sar-e-bām tulū
din utar jaa.eñ to phir ghar kā samāñ kuchh bhī nahīñ
ik ḳhamoshī hai liye hairat-e-sad-naqsh-o-nigār
varna badle hue mausam kī zabāñ kuchh bhī nahīñ
āsmāñ aaj tirī chhāñv meñ aa baiThī maiñ
ab mire sar pe tirā koh-e-girāñ kuchh bhī nahīñ
lams aahaT ke hawaon ke nishan kuchh bhi nahin
KHwab hi KHwab hai ye shahr yahan kuchh bhi nahin
koi guzri hui shamon mein kabhi chamka tha
is ghani shab ke andhere mein ayan kuchh bhi nahin
chand saat ke sitare hain sar-e-baam tulu
din utar jaen to phir ghar ka saman kuchh bhi nahin
ek KHamoshi hai liye hairat-e-sad-naqsh-o-nigar
warna badle hue mausam ki zaban kuchh bhi nahin
aasman aaj teri chhanw mein aa baiThi main
ab mere sar pe tera koh-e-giran kuchh bhi nahin
- Book : Pakistani Adab (Pg. 545)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.