lams bite lamhon ka gudguda raha hoga
lams biite lamhoñ kā gudgudā rahā hogā
ġhuncha be-ḳhayālī meñ muskurā diyā hogā
merā tazkira jab bhī ġhair se sunā hogā
ḳhud tumhāre chehre kā rañg uḌ gayā hogā
jis ko kah ke dīvāna mārte the patthar se
us ke haath meñ shāyad ā.īna rahā hogā
hai tumhāre chehre par kyoñ hijāb kī shabnam
apne aap ko ham ne bevafā kahā hogā
is ke baad tum ḳhud ko pahroñ DhūñDhte hoge
jab koī pata merā tum se pūchhtā hogā
dekhte ho hairat se kyoñ hayāt kā dāman
maslahat ke kāñToñ se ye ulajh gayā hogā
lams bite lamhon ka gudguda raha hoga
ghuncha be-KHayali mein muskura diya hoga
mera tazkira jab bhi ghair se suna hoga
KHud tumhaare chehre ka rang uD gaya hoga
jis ko kah ke diwana marte the patthar se
us ke hath mein shayad aaina raha hoga
hai tumhaare chehre par kyon hijab ki shabnam
apne aap ko hum ne bewafa kaha hoga
is ke baad tum KHud ko pahron DhunDhte hoge
jab koi pata mera tum se puchhta hoga
dekhte ho hairat se kyon hayat ka daman
maslahat ke kanTon se ye ulajh gaya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.