laraz raha tha main ahwal arz karte hue
laraz rahā thā maiñ ahvāl arz karte hue
zabān kholī thī maiñ ne bahut hī Darte hue
tumhārī shaan meñ mujh ko qasīda paḌhnā hai
ḳhilāf apnī tabī.at ke jang karte hue
yahī maiñ soch ke paiham savāl kartā huuñ
ki sharm aa.egī ik din use mukarte hue
bhañvar bahut the magar ziist ke samundar meñ
kināre lag hī gayā Dūbte ubharte hue
vahī gunāh jo āzār-e-jism-o-jāñ thā 'vasīm'
vahī gunāh satātā rahā hai marte hue
laraz raha tha main ahwal arz karte hue
zaban kholi thi main ne bahut hi Darte hue
tumhaari shan mein mujh ko qasida paDhna hai
KHilaf apni tabiat ke jang karte hue
yahi main soch ke paiham sawal karta hun
ki sharm aaegi ek din use mukarte hue
bhanwar bahut the magar zist ke samundar mein
kinare lag hi gaya Dubte ubharte hue
wahi gunah jo aazar-e-jism-o-jaan tha 'wasim'
wahi gunah satata raha hai marte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.