larazte TuTte girte hue jahan se nikal
larazte TūTte girte hue jahāñ se nikal
ziyāda ḳhauf-zada hai to is makāñ se nikal
hamāre dil kā ta.alluq nahīñ zamāne se
sau apnī ḳhvāhish-e-duniyā uThā yahāñ se nikal
tire jamāl kī lau tere ba.ad rah jaa.e
diye jalātā huā is jahān-e-jāñ se nikal
maiñ rab ke nuur se mahv-e-kalām huuñ sar-e-shām
sū-e-charāġh-e-duā tū bhī darmiyāñ se nikal
ab is ke ba.ad qayāmat hai tū bhī ai 'shahzād'
duā.eñ paḌhtā huā shahr-e-be-amāñ se nikal
larazte TuTte girte hue jahan se nikal
ziyaada KHauf-zada hai to is makan se nikal
hamare dil ka talluq nahin zamane se
sau apni KHwahish-e-duniya uTha yahan se nikal
tere jamal ki lau tere baad rah jae
diye jalata hua is jahan-e-jaan se nikal
main rab ke nur se mahw-e-kalam hun sar-e-sham
su-e-charagh-e-dua tu bhi darmiyan se nikal
ab is ke baad qayamat hai tu bhi ai 'shahzad'
duaen paDhta hua shahr-e-be-aman se nikal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.