larzan main jo ruh ke pardon mein anwar luTae jati hun
larzāñ maiñ jo ruuh ke pardoñ meñ anvār luTā.e jaatī huuñ
hastī ke zarre zarre ko ḳhurshīd banā.e jaatī huuñ
kuchh nikhre nikhre giit haiñ jo hoñToñ se baraste rahte haiñ
ik mīThī mīThī aag hai jo har sū bhaḌkā.e jaatī huuñ
ḳhud apnī lai ko suntī huuñ ḳhush hotī huuñ sar dhuntī huuñ
ash.ār meñ Dhaal ke ashkoñ ko mastī meñ gaa.e jaatī huuñ
dil aksar choTeñ sahtā hai aur chup chup rotā rahtā hai
go sar-tā-pā ġham huuñ lekin hañstī huuñ hañsā.e jaatī huuñ
mauhūm sī ek tamannā kī ḳhātir ye havādis tauba hai
phūloñ kī mohabbat meñ kāñTe āñkhoñ se lagā.e jaatī huuñ
kyā jaane kis se kahtī huuñ ḳhvāboñ ke sunahre afsāne
Thahro ki abhī maiñ aatī huuñ Thahro ki bin aa.e jaatī huuñ
mālūm kabhī ye hotā hai mahsūr huuñ chāñd sitāroñ meñ
mahsūs kabhī ye kartī huuñ zarroñ meñ samā.e jaatī huuñ
'najma' phir sundar sapnoñ meñ banñe lage qasr ummīdoñ ke
phir ret ke girte sāhil par buniyād uThā.e jaatī huuñ
larzan main jo ruh ke pardon mein anwar luTae jati hun
hasti ke zarre zarre ko KHurshid banae jati hun
kuchh nikhre nikhre git hain jo honTon se baraste rahte hain
ek miThi miThi aag hai jo har su bhaDkae jati hun
KHud apni lai ko sunti hun KHush hoti hun sar dhunti hun
ashaar mein Dhaal ke ashkon ko masti mein gae jati hun
dil aksar choTen sahta hai aur chup chup rota rahta hai
go sar-ta-pa gham hun lekin hansti hun hansae jati hun
mauhum si ek tamanna ki KHatir ye hawadis tauba hai
phulon ki mohabbat mein kanTe aankhon se lagae jati hun
kya jaane kis se kahti hun KHwabon ke sunahre afsane
Thahro ki abhi main aati hun Thahro ki bin aae jati hun
malum kabhi ye hota hai mahsur hun chand sitaron mein
mahsus kabhi ye karti hun zarron mein samae jati hun
'najma' phir sundar sapnon mein banne lage qasr ummidon ke
phir ret ke girte sahil par buniyaad uThae jati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.