lashkar-e-ishq aa paDa hai mulk-e-dil par TuT TuT
lashkar-e-ishq aa paḌā hai mulk-e-dil par TuuT TuuT
kaan meñ aatī nahīñ hai juz sadā-e-lūT-lūT
mil nahīñ saktā ḳhudā hai is ḳhudī ke saath meñ
ai dil is qaid-e-ḳhudī se jald-tar ab chhūT chhūT
barq saañ hañsnā tirā yaad aave hai jis dam mujhe
abr kī mānind rotā huuñ maiñ yaksar phuuT phuuT
hai sadā-e-ḳhanda-e-gul ḳhaar us ke kaan meñ
is liye kahtā huuñ maiñ naale ko apne khoT khoT
tere kufr-e-zulf kī Dorī meñ aksar ahl-e-dīñ
qaid-e-dīñ-dārī se bhāge haiñ nikal kar chhūT chhūT
koī kāfir hī nahīñ juz nafs ḳhud is dahr meñ
pas isī kāfir ke sar ko raat din tū kuuT kuuT
aa gayā bahr-e-haqīqat kā hī gauhar haath meñ
hai milā jab se shah-e-ḳhādim se 'āsim' TuuT TuuT
lashkar-e-ishq aa paDa hai mulk-e-dil par TuT TuT
kan mein aati nahin hai juz sada-e-luT-luT
mil nahin sakta KHuda hai is KHudi ke sath mein
ai dil is qaid-e-KHudi se jald-tar ab chhuT chhuT
barq san hansna tera yaad aawe hai jis dam mujhe
abr ki manind rota hun main yaksar phuT phuT
hai sada-e-KHanda-e-gul KHar us ke kan mein
is liye kahta hun main nale ko apne khoT khoT
tere kufr-e-zulf ki Dori mein aksar ahl-e-din
qaid-e-din-dari se bhage hain nikal kar chhuT chhuT
koi kafir hi nahin juz nafs KHud is dahr mein
pas isi kafir ke sar ko raat din tu kuT kuT
aa gaya bahr-e-haqiqat ka hi gauhar hath mein
hai mila jab se shah-e-KHadim se 'asim' TuT TuT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.