latif ban ke mahak jo gul-o-saman mein rahe
latīf ban ke mahak jo gul-o-saman meñ rahe
kahīñ tumhīñ to nahīñ parda-e-chaman meñ rahe
zuleḳhā hotī hai rusvā bhī pāk-dāmānī
ulajh ke laakh jo yūsuf ke pairahan meñ rahe
bujhā ho dil hī to us justujū se kyā hāsil
koī ho phuul kisī gosha-e-chaman meñ rahe
junūñ qasam hai tujhe baat hosh kī jab hai
ki ek taar bhī baaqī na pairahan meñ rahe
ḳhudā se kar ke duā tum ko maañg hī leñge
zabāñ hamārī salāmat agar dahan meñ rahe
suḳhan kī bazm pe mauqūf kuchh nahīñ 'tālib'
rahe haiñ rūh-e-ravāñ ham jis anjuman meñ rahe
latif ban ke mahak jo gul-o-saman mein rahe
kahin tumhin to nahin parda-e-chaman mein rahe
zuleKHa hoti hai ruswa bhi pak-damani
ulajh ke lakh jo yusuf ke pairahan mein rahe
bujha ho dil hi to us justuju se kya hasil
koi ho phul kisi gosha-e-chaman mein rahe
junun qasam hai tujhe baat hosh ki jab hai
ki ek tar bhi baqi na pairahan mein rahe
KHuda se kar ke dua tum ko mang hi lenge
zaban hamari salamat agar dahan mein rahe
suKHan ki bazm pe mauquf kuchh nahin 'talib'
rahe hain ruh-e-rawan hum jis anjuman mein rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.