Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lau aaftab-ru se lagana nahin hai kya

Amir Hamza Saqib

lau aaftab-ru se lagana nahin hai kya

Amir Hamza Saqib

MORE BYAmir Hamza Saqib

    lau āftāb-rū se lagānā nahīñ hai kyā

    bhīgā huā vujūd sukhānā nahīñ hai kyā

    patthar paḌe haiñ raah ke be-ḳhānumāñ-ḳharāb

    ab shahr meñ koī bhī divāna nahīñ hai kyā

    hir-phir ke chand harf vahī aur vahī ik ism

    lafzoñ tere paas ḳhazāna nahīñ hai kyā

    aisī bhī jaldī kyā hai kahīñ rahravān-e-'umr

    karne ko ziist koī bahāna nahīñ hai kyā

    ghuTnoñ meñ sar diye hue baiThe ho der se

    kyā rog koī ko lagānā nahīñ hai kyā

    sahrā meñ gard uḌāoge 'sāqib' kahāñ talak

    ābādiyāñ bulātī haiñ jaanā nahīñ hai kyā

    lau aaftab-ru se lagana nahin hai kya

    bhiga hua wujud sukhana nahin hai kya

    patthar paDe hain rah ke be-KHanuman-KHarab

    ab shahr mein koi bhi diwana nahin hai kya

    hir-phir ke chand harf wahi aur wahi ek ism

    lafzon ka tere pas KHazana nahin hai kya

    aisi bhi jaldi kya hai kahin rahrawan-e-'umr

    karne ko zist koi bahana nahin hai kya

    ghuTnon mein sar diye hue baiThe ho der se

    kya rog koi ji ko lagana nahin hai kya

    sahra mein gard uDaoge 'saqib' kahan talak

    aabaadiyan bulati hain jaana nahin hai kya

    Source :
    • Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 77)
    • Author : Ameer Hamza Saqib
    • Publication : Rekhta Publications (2019)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now