lau de rahe hain aaj dil-e-dagh-dagh bhi
lau de rahe haiñ aaj dil-e-dāġh-dāġh bhī
raushan hue haiñ fikr-o-nazar ke charāġh bhī
un kā mizāj auj-e-surayyā pe hai agar
hai haft-āsmāñ pe hamārā dimāġh bhī
rakhte kahīñ qadam haiñ to paḌte kahīñ haiñ aur
sahbā-e-be-ḳhudī se haiñ chhilke ayāġh bhī
mausam badal gayā hai sabā ḳhush-ḳhirām hai
gul-hā-e-rang-rang se mahke haiñ baaġh bhī
ġham-hā.e-be-panāh ke bā-vasf dosto
fart-e-ḳhushī se aaj hai dil baaġh baaġh bhī
guzrā hai rāste se koī gul-badan zarūr
ḳhushbū kā ab to milne lagā hai surāġh bhī
fitrat judā judā hai tabī.at judā judā
rangat meñ yuuñ to ek hai koyal bhī zaaġh bhī
chehre ke ḳhadd-o-ḳhāl bhī vāzeh na kar sake
uljhā huā hai zor-e-qalam kā balāġh bhī
sahrā ko dekh kar huā 'siddīq' ye gumāñ
hāsil huā ab ahl-e-junūñ ko farāġh bhī
lau de rahe hain aaj dil-e-dagh-dagh bhi
raushan hue hain fikr-o-nazar ke charagh bhi
un ka mizaj auj-e-surayya pe hai agar
hai haft-asman pe hamara dimagh bhi
rakhte kahin qadam hain to paDte kahin hain aur
sahba-e-be-KHudi se hain chhilke ayagh bhi
mausam badal gaya hai saba KHush-KHiram hai
gul-ha-e-rang-rang se mahke hain bagh bhi
gham-hae-be-panah ke ba-wasf dosto
fart-e-KHushi se aaj hai dil bagh bagh bhi
guzra hai raste se koi gul-badan zarur
KHushbu ka ab to milne laga hai suragh bhi
fitrat juda juda hai tabiat juda juda
rangat mein yun to ek hai koyal bhi zagh bhi
chehre ke KHadd-o-KHal bhi wazeh na kar sake
uljha hua hai zor-e-qalam ka balagh bhi
sahra ko dekh kar hua 'siddiq' ye guman
hasil hua ab ahl-e-junun ko faragh bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.