lau dene laga hai teri yaadon ka diya phir
lau dene lagā hai tirī yādoñ kā diyā phir
bahke na kahīñ dekhnā jangal kī havā phir
tajdīd-e-mohabbat kā ḳhayāl aayā hai us ko
paa.e na kahīñ jurm-e-vafā kī vo sazā phir
shāyad ki lī añgḌā.ī kisī chāñd-badan ne
haijān sā ḳhāmosh samundar meñ uThā phir
ifrīt-e-shab-e-tār ne lab khole haiñ kyā kyā
ḳhāmoshī-e-sahrā se uThe koī sadā phir
phir ḳhvāb sajāne lage palkoñ pe divāne
bhauñroñ ko rijhāne lagī phūloñ kī adā phir
tum the ki mire paañv meñ zanjīr thī 'betāb'
be-nām ta.alluq hī sahī kyoñ na rahā phir
lau dene laga hai teri yaadon ka diya phir
bahke na kahin dekhna jangal ki hawa phir
tajdid-e-mohabbat ka KHayal aaya hai us ko
pae na kahin jurm-e-wafa ki wo saza phir
shayad ki li angDai kisi chand-badan ne
haijaan sa KHamosh samundar mein uTha phir
ifrit-e-shab-e-tar ne lab khole hain kya kya
KHamoshi-e-sahra se uThe koi sada phir
phir KHwab sajaane lage palkon pe diwane
bhaunron ko rijhane lagi phulon ki ada phir
tum the ki mere panw mein zanjir thi 'betab'
be-nam talluq hi sahi kyon na raha phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.