lau mere dil ne zara us se lagai hi nahin
lau mire dil ne zarā us se lagā.ī hī nahīñ
maiñ ne chāhat kī kabhī jot jagā.ī hī nahīñ
raushnī ruuh tak aa.ī hai to aa.ī kaise
jab ki us tak to mirī koī rasā.ī hī nahīñ
apnī rau meñ huuñ bahe jaatī huuñ naddī kī tarah
pattharoñ ko maiñ kabhī dhyān meñ laa.ī hī nahīñ
kaise ban jaate haiñ sab kaam ye bigḌe mere
ek nekī to abhī maiñ ne kamā.ī hī nahīñ
ḳhud-ba-ḳhud jhuk ga.iiñ dar par tire nazreñ merī
ye nigah maiñ ne kahīñ aur jhukā.ī hī nahīñ
kaise chup-chāp chale aate haiñ nīñdoñ meñ mirī
maiñ ne ḳhvāboñ ko to āvāz lagā.ī hī nahīñ
us kī ummīd abhī se maiñ lagā luuñ kaise
apnī hastī to abhī maiñ ne miTā.ī hī nahīñ
lau mere dil ne zara us se lagai hi nahin
main ne chahat ki kabhi jot jagai hi nahin
raushni ruh tak aai hai to aai kaise
jab ki us tak to meri koi rasai hi nahin
apni rau mein hun bahe jati hun naddi ki tarah
pattharon ko main kabhi dhyan mein lai hi nahin
kaise ban jate hain sab kaam ye bigDe mere
ek neki to abhi main ne kamai hi nahin
KHud-ba-KHud jhuk gain dar par tere nazren meri
ye nigah main ne kahin aur jhukai hi nahin
kaise chup-chap chale aate hain nindon mein meri
main ne KHwabon ko to aawaz lagai hi nahin
us ki ummid abhi se main laga lun kaise
apni hasti to abhi main ne miTai hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.